Loop of Procrastination!!!

Har naye din ke sath aap jab khud se Maafi mangte ho aur afsoz karte ho ki aapne aaj ka din bhi waste kiya. Aisa kya hai jo roz roz hi gadbad ho rgha hai. Aap roz roz procrastinate karte ho aur har din ke sath apki life ek aur kimti din khatam ho jata h.

Iska sabse bada karan hai aapka comfortzone. Roz subah ghar aane ke baad aap phir se usi bed par baith jate ho aur phir let jate ho, thoda social media, thoda internet aapki consciousness ko silent kar deta ha, aur aap so jate ho. Wapis uthne ke baad aapko Regret hota hai “Yaar aaj ka din bhi waste kar diya .” Ye sab aise hi chalta rehta hai aur hamesha aise hi chalta rahega.

Kya Karein. Isse kaise Bachien??

Mein yahan koi badi baat nhi keh rha hun, ki aap ye badal do wo badal do.

aapko bas ek chota sa kaam karna hai, jab aap wapis pir se apne ghar me kadam rakhoge to, aap ko usi bed se door chale jana hai. aap ko usi bed se doori bana leni hai aur Sabse important Tasks ko pehle hi solve karne mein lag jana hai. Ye aapko roz kaam karne me ek nayi Urja dega.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *