Payment Gateway Kya hota hai??

Payment gateway ek technology hai jab bhi hum apne Debit ya Credit card se payment karte hain use accept karne ke liye Merchants yani ki bikreta payment gateway ka upyog karta hai.

Basically, ye ek interface hota hai jo hamari payment information collect karta hai merchant ke behalf par. Aap bas apne credentials (apni credit ya debit card information) dalo aur payment kar do.

Jaise hi aap apni Credit ya Debit card information dalte ho aur ‘Proceed for Payment’ karte ho aap ek naye page par redirect ho jate ho aur uske baad payment successful ho pati hai.

Kuch most common used Payment Gateways in India –

  • Razorpay
  • CC Avenue
  • Bill desk
  • Cashfree payments
  • Insta Mojo and etc.


Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *